Saturday, February 19, 2011

Some poetry by me - Asad Zubair Bhatti



‎"Khili thi fizaen un ke aas kabhi
Phiray bazaar mein aur uthtay lashkar un kay aas kabhi
Aaj koi jaa kar dekhta un Sikandar-e-Zamanah ko
Hogai gum un ki raunak fizaen Rawi ke paas abhi" - Asad Bhatti


‎"lagay rahat-e-hawa badan-e-bashar par
badnaseebi ho us qaum par yaad nah karay is ko bhejne wale par" - Asad Bhatti



‎"Khili thi kabhi woh chashm-e-Ravi
jin mein uthatay lutf woh roshan-chehray
ho paani un ka saaf aur khili un mein bahaarein
Aaj hogai gandi woh chashm-e-Ravi
Aisa lagta hai keh pukaar uthi
Seh lia bohat is insaaniat ki makkaari" - Asad Bhatti



Hawa ke jhonkay giray zameen par
nikli maujein tez tez sumandar par
mila kia sukoon-e-qulb tujhe?
Aazmaalo tareekein rahat paanay kay
Aakhir milay gi rahat Allah ko yaad karnay par - Asad Bhatti


"Kioon na yaad karay us baakhabar ko
Shareek kioon kartay hain saath Ahad zaat ke?
Khabar de gae Isa (as) aur Musa (as) us Mustafa (saw) ki
Phir kia rokti hai tujhe us Allah ko pukaarnay se" - Asad Bhatti

"Posheedah zindagi" coming soon

0 comments:

Post a Comment